Header

Wednesday, November 13, 2013

Mann ki udaan....

Mann ki udaan is masti bhari hawa k saath,
kyo na main bhi udd jaun.
in natkhat pyaare baadlo k saath,
kyon na main bhi shor machaun.
In rang birange panchiyon k saath,
kyon na duniya ki sair lagaun,
har ujale din aur kaali raat k saath,
kyon na khud ko bhool jaun.
Khoob khelo khub khao,
aur chotti si baat par hi rooth jaun.
In bhole bhaale bachchon k saath.
Kyon na main bhi bachcha ban jaun.

No comments:

Post a Comment