Header

Wednesday, November 13, 2013

DO ROTI KI MAJBOORI

Nayan bhigokar, peer piro kar, Bhar kar hridaya udasi .
Chutki bhar sindur sajakar tum ban gaye pravasi.

Dekh na paye apne aagan main, bacchon ka dag bharna .
Uthkar girna, girkar uthna,chalna uthna ,aur girna .

Do roti ki yeh majboori nahi gavara hai .
Sang raho, bhukho hi marana, hmako lagata pyara hai.

Sun na sake nannhain munahon ki kabhi totali bhasha.
Chitak chitka raha gai jindgi aur tut tut ke abhilasha.

Mar jati hoon laaj ke mare kaisa ajab vidhan hai .
jab baccho ko deni padti hai baapu ki pahchan hai.


Nari ke kartabyon ka kya yahi najara hai .
Sang raho, bhukhoon hi marna hamko lagata pyara hia .

Aaye khahan kbhi tum bus aata sandesh hai .
jo kal tha ajj bhi wahi jivan ka pariwesh hai .

Wahi gali kuche , vasinde wahi purana gaon.
Poorab se aati Purvaiya vahi neem ki chaon .

Yado ka anmol ratan hi ,sirf hamara sahara hai .
sang raho bhugho hi, marna hamko lagta payar a hai .

No comments:

Post a Comment